Aurt ne jab janam diya mardo ko ,mardo ne use bazaar diya ,
Jab ji chaha masla –kuchla , jab ji chaha dutkar diya ,
Aurt ne janam diya mardo ko …………………. !
Tulti hai kahi dinaro mein , bikti hai kahi bazaro mein ,
Nangi nachvai jati
hai ,ayasho ke darbaro mein ,
Ye hai beyijet cheez
hai jo , banth jati hai izatdaro mein ,
Aurt ne janam diya mardo ko
……………………… !
Mardo ke ley her julam rava , aurt ke ley rona bhi khata ,
Mardo ke ley lakho sajein , aurt ke ley bas ik chita ,
Mardo ke ley her aysh ka hak , aurt ke ley jena bhi saja ,
Aurt ne janam diya mardo ko …………………….. !
Jin honto ne in ko pyaar kiya , un hoto ka vyapar kiya ,
Jis kokh mein inka jism dala , us kokh ka karobar kiya ,
Jis tan se ugay konpal ban ker , us tan ko jalil –ao-khayar
kiya ,
Aurt ne janam diya mardo ko …………………. !
Mardo ne banai jo rasme , unko hak ka farman kaha ,
Aurt ke jinda jalne ko kurbani aur balidan kaha ,
Kismet ke badle roti di , aur usko bhi ahsan kaha ,
Aurt ne janam diya mardo ko
…………. !
Sansar ka her ik basarmi , gurbat ki god mein palti hai ,
Chaklo mein hi aa ker rukti hai , fako mein jo rah niklti
hai ,
Mardo ki havas hai jo aksar , aurt ke pap mein dalti hai ,
Aurt ne janam diya mardo ko ………………….. !
Aurt sansar ki kismet hai , fir bhi takdir ki bayti hai ,
Avtar pyamber janti hai , fir bhi saytan ki bayti hai ,
Yah vo bad kismet maa hai jo , bayto ki sayz per layti hai ,
Aurt ne janam diya mardo ko ………………….. !
No comments:
Post a Comment