Mayne bhi dekha hai ik sapna
, is sunder jag mein aane ka ,
Apni pachchan banana ka , baygani se is duniya mein ,
Apno ka sath pane ka , kr de mayra sapn saker ,
De de mujh ko tu aakar , sun le maa mayri pukar !
Us bat ki kyo ho saza , jis mein chipa ho tayra pyaar ,
Mayri bali de kr ke kyon tum , khud per karti ho aytyachar ,
Nikher jay mayra astitave , baha do prem ki who rasdhar ,
Is nanhi kali ko khelne de , mt chin mayra yah aadhikar ,
Sun le ………. !
Mein nahi hu maa kisi se kum , mein tayri hi chaya hu ,
Tayre khun se sinchi gayi jo , vo nirmal se kaya hu ,
Ik vada karna tu mujh se , mayri yah vinti hai tujh se ,
Ke is duniya se pahle mujh ko ,Ker le maa tu savekar ,
Sun le ……………………. !
Kya tune bhi apna varchsav , esi tarh se paya tha ?
Kya tujhe bhi koi ,is jhan mein majburi se laya tha ?
Ban ja tu durga ,bhvani ,mat ban bebas aur lachar ,
Mujh ko janam de ker he janni , ker de mayra bhi uddhar ,
Sun le maa ……………….. !
Aao aaj kasam yah kha le , nahi karege yah apradh
Tor ker sare khokhle bandhan
, kare samaj ka sarvothan ,
Nav chaytna ka kare sanchar , jise na sake koi nakar !
Mayri hai maa yahi guhar , sun le maa mayri pukar ,
Sun le ……………. !
No comments:
Post a Comment