Rakhi le ker
rakhi baythi, rakah hui Armani ki ,
Rakhi kis ko
bandhe rakhi , samjh na aayi bano ki ,
Rakhi ka tha
parv suhavna , jab rakhi ne janm liya ,
Mat-pita ne
khuss ho ker , rakhi us ko nam diya ,
Per kudrat
ne sapath utai , rakhi ko tarfane ki ,
“AnMoL”
harday ne bhav ho ker , jab dekhi Rakhi ki Rakhi ,
Turant
jigyasha hui “AnMoL” ki , bandva le Rakhi ki Rakhi ,
Bhigni behan
–behan kavi ne socha , Rakhi behan banane ki ,
Bhare gale
se Rakhi boli , mujh ko behan bana pao ge ,
Rakhi hai
Aachut ki larki , bolo Rakhi bandvao ge ,
Himat rakhte
ho apne me , Aachhuto ko apnane ki ,
Unchi jati
vale Rakhi , pawan hai Bhagwan nahi hai ,
Nafrat karte
jo insane se , vastav me saytan vahi hai ,
Hath badh ker bandh do rakhi , jarurt nahi hai
ghbrane ki
No comments:
Post a Comment