Mein brahamand ki sarv sundri rachna
Bari goravanivit thi ,
Shristhi mein mamta ka astive rachker ,
Satyug mein sati , dwapar mein radha ,
Tretha mein sita , kalyug mein kalpna ban ker ,
Maa , behan , beti , priyaci , patni ke rup mein ,
Etrati thi risto ko paripurnta de ker ,
Beshak her yug mein , kabhi na kabhi ,
Kahi na kahi hua mera tiriskar ,
Khoya samman aur dena pada balidan ,
Fir bhi apni sehansilta aur
Vajud ko leker
Abhimanit thi nari ban ker
Lakin , aaj mein sharminda hu apne hone ko leker ,
Lut jo rahi hu ,
Gher , gali se le ker sadak per ,
Kabhi fanki jati hu kure ke dher per ,
Anchahi santan banker ,
Kabhi roti hu sarerah hawas ka shikar ho ker ,
Janamdata , bhai , ristedar bhi nahi bakhshtein hai ,
Asmat tar-tar ker dete hai dav pa ker ,
Nahi raha atber ab apne vajud per bhi ,
Khud ke hatho mein mit rahi hu ,
Kokh mein hi katal ho ker ,
Basool-gareon mein mere balatker ke khaber ,
Sharminda karti hai roj surkhiyan ban ker ,
Mere vachersav ke ley ,
Larne ka dikhava karta hai pangu samaz ,
Jhooti vah vahi lut rahe nayta ,
Sadan mein mere soshan ka muda uchalker ,
Kaha chipaun , kayse bachaun apne aap ko ,
Nahi surakshit mein padh likh ker ,
Aadhunik ban ker .
No comments:
Post a Comment