Friday, 29 November 2013

bayvafa ka parvana ho gaya

Tere ishq ne hum per  esa  jadu kiya hai ,
Hum tere pyar ke divane ho gaye ,
Tere pyar ka hum ne mahel bana diya ,
Jis ke her jagah afsane  ban gaye   ,
Per tune hamare pyar ko thukra diya ,
Hum kyo tere leyain baygane ho gaye ,
Oh bayvafa javab de is bat ka ,
Anmol” kyo bayvafa ka parvana ho gaya .

















तेरे इश्क़ ने हम पर  ऐसा जादू किया है ,
हम तेरे प्यार के दीवाने हो गये ,
तेरे प्यार का हम ने महल बना दिया ,
जिस के हर जगह अफ़साने बन गये ,
पर तूने हमारे प्यार को ठुकरा दिया ,
हम क्यों तेरे लियें बेगाने हो  गए ,
ओह बेवफा जवाब दे इस बात का ,
"अनमोल " क्यों बेवफा का परवाना हो गया !

Tuesday, 22 October 2013

mout ka sahil bana diya

Jis gum ne jindgi ko muskil bana diya
Hum ne usi ko mout ka sahil bana diya
Her gum ko can mar ker sone ki koshish ki
Her pal unhone neend ka katil bana diya .
Dared jigar ne bhi hamein kabhi kabil na samjha
Hum ne hi khud ko dard ke kabil bana liya
Behtr hai bin kheveya neeyain ka dub jana
Yahi soch ker mjhdar ko manjil bana liya

जिस गम ने जिन्दगी को मुश्किल बना दिया ,
हम ने उसी को मौत का साहिल बना दिया !
हर गम को कैन मार कर सोने की कोशिश की ,
हर पल उन्होंने नींद का कातिल बना दिया !
दर्दे जिगर ने भी हमें कभी काबिल समझा ,
हम ने ही खुद को दर्द के काबिल बना लिया !
बेहतर है बिन खेवैया नैयाँ का डूब जाना ,
यही सोचकर मझदार मंजिल बना लिया !


Friday, 18 October 2013

Ab waqt bitana parta hai / अब वक़्त बिताना पड़ता है



Apne  shaher mein tha sab kuch apna
Yahan apna baygana lagta hai
Tum se dur ja ke sathi
Yah sansar dravna lagta hai
Jab dil mein uthti hai koi chah
To use bhi dbana padta hai
Dhanvano ki is duniya mein
Ab waqt bitana parta hai .


अपने शहर में था सब कुछ अपना ,
यहाँ अपना बेगाना लगता है ,
तुम से दूर जा के साथी  ,
यह संसार डरावना लगता है  ,
जब दिल में उठती है कोई चाह ,
तो उसे भी दबाना पड़ता  है  ,
धनवानों की इस दुनिया में ,
अब वक़्त बिताना पड़ता है  !

Monday, 30 September 2013

Mere desh ka bhayashy / मेरे देश का भविष्य



Yah Koon ?
Bada shaher unchi imaret ,
Lambi sdke dodti gadiyan ,
Chamchamati batiyaan ,
Kad kada ti sardi mein ,
Fut path per pada chithdo se lipta ,
Ardh nanga sharer sekudta hua ,
Tarfta hua bhukha peth
Yah koon ?????????????
Mere desh ka bhayashy


यह कॊन  ?
बड़ा शहर ऊँची इमारते
लम्बी सडके दोड़ती गाड़ियाँ
चमचमाती बतियाँ
कड कडा ती सर्दी में
फुट पाथ पर पड़ा चिथड़ो से लिप टा
अर्ध नंगा शरीर सिकुड़ता हुआ
तरफ्ता हुआ भूखा पेट
यह कॊन  ????????
मेरे देश का भविष्य

Thursday, 26 September 2013

Mayri sari kamai hai lugai ke leyain








Pita putar ki larhai neet kamai ke leyain ,
Bhai –bhai ki larhai pai-pai ke leyain ,
Bayta jo gaya vidays likh bhayjyo hai sandesh ,
Mayri sari kamai hai lugai ke leyain .

पिता पुत्र की लढ़ाई नित कमाई के लियें
भाई -भाई की लढ़ाई पाई -पाई के लियें
बेटा जो गया विदेस लिख भय्ज्यो है सन्देश

मेरी सारी कमाई है लुगाई के लियें

Tuesday, 20 August 2013

Rakhi bandwa le mere veer




rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer ,
dekhne ko yah kachcha dhaga ,
per risto ki hai janjeer .
sunder mukhra sunder rakhi ,
sunder tayri kalayi ,
bahna mange tayri sada duwayein ,
jug-jug jeey mayra bhai .
sada rahe khus tu bhaeya ,
jage tayri takdir ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .
na koi vada lun tug se ,
na koi kasmein ,
mathe per tilak laga ker ,
ker luin puri rasmein .
bhai ke bina koi na jane ,
is bahna ki peer ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer  .
desh ki raksha ker rahe hai kuch bhai ,
bahno se hai dur ,
dak se bayji rakhi sab ne ,
milne se majbur .
desh ki laaz hai un ke hatho ,
sarhado ki shamseer , 
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .

Tuesday, 30 July 2013

is jam me kaysi masti hai

Is duniya ke maykhane mein peene ka maza aa hi gaya ,
jb nazro se nazre char hui to dil mayra ghbra hi gaya ,
kya idher udher daykho ge "anmol " is jam me kaysi masti hai ,
jo tor ke pachuncha deware peene ka maza wo pee hi gaya 

👌: प्यार का आगाज :👌

 हर गजल का प्यार से आगाज़ होना चाहिए,  शेर कहने का यही अंदाज होना चाहिए।  दोस्तों की दोस्ती पर नाज होना चाहिए,  दुश्मनों से प्यार का आगाज हो...