Thursday, 20 November 2014

dil mein jagah bana lu





mein likhu aysa ki her kisi ke dil mein jagah bana lu ,
mile tandak sab ke dilo ko ik ber padh sun ker ,
mer pathak , mere shrota , muge ger kabhi yad kare ,
mayri kuch panktiya saz jayen aa ker un ke labo per ,
kavi  nahi chata her kisi se taj mahal ya lal kila ,
bas muge mayri kavita se nai pahchan mile .

Monday, 10 November 2014

Kismet se jyada na mila kisi ko kabhi

Hum ne apna Jitna khun jalaya ,
Utna khun to hum bana bhi nahi sake ,
Jitna roya hamara ye dil tumare bina ,
Utna to hum is dil ko hasa bhi na sake .
Itne khavab dekhe hum ne tumare sath ,
Aadhe bhi pure na ker pay hum tum bin ,
Fir bhi hum ko na koi gum hai is duniya se ,
Na hi koi ranj hai is duniya se hame .
Ye to hamari kismet ka dastur hai dosto ,
Kismet se jyada na mila kisi ko kabhi  ,
To hame kayse mil jata apni kismet se ,
Yahi soch ker hamare is dil me chain hai .

Saturday, 1 November 2014

Mayri her shayari me tum hi rahti ho




Mayri her shayari me tum hi rahti ho ,

Mayri her nazam mein hamesha tum hi rahti ho .

Muge to is jindgi ke sare rang thik lagte hai ,

Kisi bhi rang ke radhobadal me tum hi ho .

Mein kitni bhi rakhu duri hamesha pass rahti ho ,

Mere dil ke bane mahal me tum hi rahti ho .

Ye duniya hai yaha nafrat bhi samil hai aansu bhi ,

Mayri aankho se bathe is taral me tum hi to ho .

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...