Tuesday, 26 August 2014

farz chukana baki hai




Dhire se chel jindgi , abhi kuch farz chukana baki hai ,
Kuch dard mitana baki hai , kuch farz nibhana baki hai ,
Tere rafter me chalne se kuch ruth gaya kuch chut gaya ,
Rutho ko manana baki hai , roton ko hasana baki hai ,
Hamari kuch hasrete abhi aadhuri hai ,kuch kam bhi abhi jaruri hai ,
Khawahishe jo ghut gai hai dil mein unhe dafnana abhi baki hai ,
Kuch riste ban ker tut gay ,kuch jurte jurte chut gay ,
Un tute huy risto ke jakhmo ko mitana abhi baki hai ,
Tum aage chalo mein aata hu , tum ko chod kya mein jee pau ga ,
In sanso per hak hai jin ka , un ko samgana abhi baki hai ,
Dhire se chel jindgi , abhi kuch farz chukana baki hai .

Tuesday, 12 August 2014

tirange se khubsurat koi khafan nahi hota

Jamane bher mein milte hai ashik kayi
Mager vatan se khubsurat koi sanam nahi hota ,
Noto mein lipat ker sone mein simat ker mare hai kayi ,
Mager tirange se khubsurat koi khafan nahi hota .

Friday, 8 August 2014

Is riste per to kud naz karta hai khuda




Bhai ki kalaijab saze bahan ke pyar se ,
Vah pal hota hai anmol dono ke dular se ,
Is riste per to kud naz karta hai khuda ,
Kyoki yah pawan rista hai duniya mein sab se juda .

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...