Tuesday 20 August 2013

Rakhi bandwa le mere veer




rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer ,
dekhne ko yah kachcha dhaga ,
per risto ki hai janjeer .
sunder mukhra sunder rakhi ,
sunder tayri kalayi ,
bahna mange tayri sada duwayein ,
jug-jug jeey mayra bhai .
sada rahe khus tu bhaeya ,
jage tayri takdir ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .
na koi vada lun tug se ,
na koi kasmein ,
mathe per tilak laga ker ,
ker luin puri rasmein .
bhai ke bina koi na jane ,
is bahna ki peer ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer  .
desh ki raksha ker rahe hai kuch bhai ,
bahno se hai dur ,
dak se bayji rakhi sab ne ,
milne se majbur .
desh ki laaz hai un ke hatho ,
sarhado ki shamseer , 
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .

2 comments:

  1. kis se milna jaruri ho gaya hai ,
    kis ki aankho me aks nazer aata hai
    jindgi to sab ko milti hai is jamane mein
    Aks nazar aata hai kisi kisi ki aankho mein

    ReplyDelete

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...