Wednesday 28 January 2015

Dhan


Dhan

Kal tak vah

Khoya tha , apne ghar

Ginne mein apna dhan 

Use kya malum tha

Ki

Kal vah bhi kho jayga

Is duniya se liya hua

Sirf ,

Ik papi man .

धन 
 कल तक वह 

खोया था , अपने घर 

गिनने में अपना धन 

उसे क्या मालूम था 

कि 

कल वह भी खो जायगा 

इस दुनिया से लिया हुआ 

सिर्फ ,

इक पापी मन ! 

Bhukh


Bhukh
Kal vah bhukha tha
Use khana de gaya
Ik seth ,
Kyonki
Kal tha us ke pita ka shraad .
Aaj
Vah betha tha bhukha .
Koi easha seth na aaya
Jiske pita ka hota shraad .



भूख 
कल वह भूखा था 
उसे खाना दे गया
इक सेठ ,
क्योंकि
कल था उस के पिता का श्राद
आज
वह बेठा था भूखा !
कोई ईशा सेठ ना आया 
जिसके पिता का होता श्राद !

Sunday 25 January 2015

Her der per lahrata yah tiranga rahe



Her der per lahrata yah tiranga rahe ,
Hum rahe na rahe  duniya mein bas yah tiranga rahe
Sukh jayen aanshu hum sabhi ki aankhon se ,
Mere mulk mein bahti sada ganga rahe ,
Dur ho jay hum sab ke dilo se nafarte ,
Jami per kahin bhi na baki danga rahe ,
Dhak jay badan sab muflisho ke bhi ,
Mere pyare bharat me na koi nanga rahe ,
Hone na paye dropdi koi lajjit “Anmol”
Dhara per duryodhan kin a koi jangha rahe 

Saturday 17 January 2015

Hinndustan ke lie


Hinndustan ke lie ,
Hinndu na sikh n musalman,
Samjho bas kewal apne aap ko insane ,
In koumon ka nirman ,
Hua nahi kewal ladne ke lie .
Kyon aesha mahol bana ker ,
Aane wali pidhi ko bhi ,
Isi dl-dl mein chode sadne ke lie .
Woh sabhi ek hain ,
Jinnhone dilai the hame aazadi .
Woh bhi ek hain ,
Jo chahate hain hamari berbadi .
Kyon hum lad ker ,
Kisi tisre ko de ,
Ungli uthane ka mouka .
Jut jao desh ke utthan ke lie ,
Ungli lagaane wale ki bat ko ,
Samjh ker dhokha .
Hum jo kuch banaege ,
Apne v apni santan ke lie ,

Hame jeena hai kewal Hinndustan ke lie .

Thursday 15 January 2015

kafan nahi milta


In Bhatkti hui ruhon kokabhi bhi muddton tan anhi milta ,

Inhe sanse to milti hain mager jiwan nahi milta ,

Ik thumka lagane ko mil jate hai karodon mager ,


Muflis ki lashon ko is duniya mein kafan nahi milta .

●•Anmol Arora•●

Tuesday 13 January 2015



Mohabat ke lamhe ye sirf hamare khavabo mein rahe ,
Aashk ban ker arman hamari aankho mein rahe .
Na jane who kon sa pal judai le ker aay ,
Sukhe patte ki manid sada shakhaon mein rahe .
Dub ker dariya mein her pal sukhe hi rahe ,
Ret ke tile sada pyase barsato mein rahe .
Mile jab aandhre hum ko fir bhi khus rahe hum ,
Jugnu ban ker roz roshan hamesha raton mein rahe .
Ik bartan mein tel aur pani sa rahe per ,
Azb yah fasle sab mulakaton mein rahe .
Ab Koi rista baki nahi rah gaya tha “ anmol”
Na jane kyon tum sada mayri yadon mein rahe .

Monday 5 January 2015

wajah kuch aur hi hai




Who jab kabhi bhi dhundhte the bahana hasne ka
ab  har pal un ke muskurane ki wajah kuch aur hi hai

us ke  pyaar mai hamara jeene ka maza hi kuch aur hi hai

hame kabhi na tha khyal apne haal ka kabhi

aaj hamari is aayine mai niharne ki wajah kuch aur hi hai

tumare is  pyaar me jeene ka maza hi kuch aur hi hai

hamara yah dil na dhadka tha kabhi kisi ko bhi dekh k
tume dekh ker is dil ki raza hi kuch aur hi hai

tere pyaar me jeene ka hamara maza hi kuch aur hi hai

hum to chipte firte the ghane badlo se kabhi
hamara aaj is barish mai bhigne ka maza hi kuch aur hi hai

tumare is pyaar me jeene ka hamara maza hi kuch aur hi hai

kahi to hogi koi imarat ishk ki is jahan mai e dost
hamari jaha mili thi nazar unse wo jagah kuh aur hi hai

tumare pyaar me jeene ka hamara maza hi kuch aur hi hai

khushnasib hai hum jo saath tumhara hai hamare pass
varna is jahan mai kaha tum sa pyara koi aur hi hai

tumare pyaar me jeene ka hamara maza hi kuch aur hi hai

Friday 2 January 2015

Dhullhan sa dil machlta hain


Dhullhan sa dil machlta hain ,
Jab aati hain barat arman ki ,
Khavabon mein jannat sama jaye ,
Jab aati hain sogat mehman ki ,
Darpan gagan mein dikhe ,
Kudrat ki mastiyon ke  tale ,
Jab hoti hai her bat pahchan ki ,
Bade khubsurat andhere lage ,
Najdeek aate savere lage ,
Andhere sazavat hain rat ki ,
Jab hoti shuruaat her shan ki ,
Khamoshiyon mein chupi dastan ,
Baharon mein khila gulstaan,
“Anmol arora” sajae yah aansmaan ,

Jab aati hai woh rat verdant ki .

Khusiyon Se Saza De


Ae Khuda Mere Yaar Ka Daman Khusiyon Se Saza De,
 Uske Janamdin Par Usi Ki Koi Raza De,
 Dar Par Tere Aunga Har Saal,

 Ki Usko Gile Ki Na Koi Wajah De 

dedicate to indian shayari


Kumar” ji Ik Nazam Likhte Hain,
Shagun” ji Kay Naam Karte Hain,
Magar Ye Sochna Hai Ab “Sikha
K Us Main Zikar “Rucha” Ka Ho?
K Us Main Baat “Yougesh” Ki Ho?
K Us Main Zaat “Alisha gupta” Ki Ho?
Aur Ye Bhi Farz Karte Hain “Jatin
K Jis Pe Nazm Likhte Hain “AnMoL
Ruchu” ko Us Se Muhabbat Hai,
Hamare Sary Jazbon Ki Bus “Manmeet ”ki Zaroorat Hai,
Chalo Ik Kaam Karte Hain “Raj
K “AnMoL” Jo Nazm Likhta Hain,
Himanshu”ke nam Kerta Hain,
Himani” ko Unwaan Ho Uska,
Priya”ka Zikar Hai Is Main,
Manoj” ki Baat Hai Is Main.
Chalo Ik Nazam Likhte Hain,
INDIAN SHAYARI” Kay Naam Karte Hain

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...