Wednesday 22 October 2014

jan-jan ko gher gher me de

( Aap sabhi ko dipawli ki shubhkamnay )

Is Duniya mein dukh aaneyk hai fir bhi deykho ,
Hum sabhi pawan  diwali manate hai ,
Prathm ganesh ji ki hum vandna ker ke ,
Hum sabhi aader se maa lucmi ji ko bulate hai  .
Sab subh ho , mangalmai ho ,Her gher me smridhi aay
umang ulas utkarsh ho ,sab yahi dil se chate hai .
charo taraf karte hai deepo se perkash ,
hum unhe bhul jate hai ,jink e gharo mein aaj bhi andhkar hai .
kewal mitti ke deep jalaye,lario se na dong rachae ,
gareeb ki khushali hai is mein woh apne hatho se ise banate hai ,
aao hum sab is dipawli per sukh smridhi ,jan-jan ko gher gher me de ,
per maa pahle un keg her mein jana jo sedko per reyn bitate hai .

Monday 20 October 2014

Happy Diwali My Love




Es diwali ki roshni me, dil me ek ghor andhera sa hai
Palke Bichaye bethe hai, intezaar us dil-e-ruba ka h
Es chand ki roshni me, dil me ek ghor andhera sa hai
Jo roshan kar de es zahan ko, intzaar us chandni ka h

Happy Diwali My Love

Diwali ek khusiyon ka tayohaar hain




Aap ki yah Diwali ek khusiyon ka tayohaar hain,
Is duniya mein Andhero se ujaalo ki aur barkaraar hain,
Duniya mein Har koi andhere ko ujaala karne k liye taiyaar h
Duniya mein jo saavdhani rakhe wahi samjhdaar h .
Koi waqt ka to koi khushiyo ka talabgaar h
Najre bhicha kar betha hai har koyi,
Sabhi ko diwali k en palo ka intezaar h
Jee lo inhe fir na kahna agle saal ka intezaar h.

Happy Diwali 2014

Tuesday 14 October 2014

Is Jindgi ki aaj aakhri karamat ho jay

Is Jindgi ki aaj aakhri karamat ho jay ,
Chalo aaj hamari mout se mulakat ho jay ,
Mein is umeed se nikla huin sayad mil jay koi insan ,
Barso tak chup raha say dab kisi se bat ho jay ,
Ab to barsat aa gai mein bhi kuch beez bo dun ,
Sayad hari-bhari fir se ye kaynat ho jay ,
Aksar mein puchta hu khud se ye sawal ,
Kya karu mein kuch aysa ki who khusmizaz ho jay .

Monday 13 October 2014

Is dil ko milne ka mn hai tum se




Is dil ko milne ka mn hai tum se ,
Kya tum mil sakti ho is tarah hum se ,
Ki bas tum aa ker hum se  mile mujh se is tarah ,
Her shikwa shikayat tum chor ker aana .
Ab to e-dost itna bhi waqt nahi hai hamare pass ,
Duniya ki  sab rasme or rivayte chor ke aana ,
Ho sake to hum se milne tum or bas tum hi aana .
Is dil ko bas tume dekhne ka man hai ,
Tumari un aankho me vohi taraf ,
Usi ahsas ke sath milna tum hami ko ,
Who sab purani bate chor ke aana  .
Aa bhi jao ab milne hame usi aas ke sath ,
Tum apni un aankho mein ley vohi taraf ,
Aana jarur per apne aap ko le ker aana jarur .
Hamare Is dil ko milne ka mn hai tum se,
Ger ker sako ye ahsan tum  to chale aana .

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...