Tuesday 2 April 2013

Manav Ko maar diya duniya ke bhar ne




Manav Ko maar diya duniya ke bhar ne

Manav ko pyaar diya dukh ke sansar ne

Maan maryada ab manav ko maar gaya

Jab manav hi manav se lag gaya harne

Bel ab tarbuje ke chadhne lagi hai bans per

Gira diya hai manav ko manav ke aadhar ne

Aanshu bhi visvash ab aankho per karte nahi

Bah gaya hai yah manuj kis ulti bahar mein

Sar gai who rakhiya kha gai dimak unhe

Bik rahe hai bhai aur bhi nab bazaar mein

Mout ki majal kya jo manav ko mar de

Jab jindgi hi manav ko lag gai hai marne

No comments:

Post a Comment

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...