Sunday 28 April 2013

AURT NE JANAM DIYA




Aurt ne jab janam diya mardo ko ,mardo ne use bazaar diya ,

Jab ji chaha masla –kuchla , jab ji chaha dutkar diya ,

Aurt ne janam diya mardo ko …………………. !

Tulti hai kahi dinaro mein , bikti hai kahi bazaro mein ,

Nangi  nachvai jati hai ,ayasho ke darbaro mein ,

Ye hai beyijet  cheez hai jo , banth jati hai izatdaro mein  ,

Aurt ne janam diya mardo ko  ………………………  !

Mardo ke ley her julam rava , aurt ke ley rona bhi khata ,

Mardo ke ley lakho sajein , aurt ke ley bas ik chita ,

Mardo ke ley her aysh ka hak , aurt ke ley jena bhi saja ,

Aurt ne janam diya mardo ko …………………….. !

Jin honto ne in ko pyaar kiya , un hoto ka vyapar kiya ,

Jis kokh mein inka jism dala , us kokh ka karobar kiya ,

Jis tan se ugay konpal ban ker , us tan ko jalil –ao-khayar kiya ,

Aurt ne janam diya mardo ko ………………….  !

Mardo ne banai jo rasme , unko hak ka farman kaha ,

Aurt ke jinda jalne ko kurbani aur balidan kaha ,

Kismet ke badle roti di , aur usko bhi ahsan kaha ,

Aurt ne janam diya mardo ko  ………….  !

Sansar ka her ik basarmi , gurbat ki god mein palti hai ,

Chaklo mein hi aa ker rukti hai , fako mein jo rah niklti hai ,

Mardo ki havas hai jo aksar , aurt ke pap mein dalti hai ,

Aurt ne janam diya mardo ko …………………..  !

Aurt sansar ki kismet hai , fir bhi takdir ki bayti hai ,

Avtar pyamber janti hai , fir bhi saytan ki bayti hai ,

Yah vo bad kismet maa hai jo , bayto ki sayz per layti hai ,

Aurt ne janam diya mardo ko …………………..  !

No comments:

Post a Comment

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...