Kissi Ki Ankh Se
Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se
Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna
Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb
Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke
Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke
Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke
Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi
Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar
Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr
Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega
Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz
Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta
No comments:
Post a Comment