Wednesday 30 January 2013

vishwas yah tumara




Suno bahion ,
main aadmi hu ,
prem karta hu kawal ,
Aadmiyat se ,
mujhe Aastha nahi hai ,
Dharam per ,
Ishwar per ,
Ghor nastik hu ,
sabdo me tumare !
Per ,
Ik Aarzoo hai ,
Aarzoo nahi ,
Jigyasha mayri .......
Ishwar to sarv sakhtiman hai tumara ,
Aalah ya permeshwar ,
sabhi to srvag hai , sarv bhog hai ,
fir kyo nahi siraj dale ,
kewal hindu ,
kewal musalman ,
ya essei kewal ????????????
Kya
vah tumara Bhagwan chata hai ,
chor ker kam apne ,
kewal puja karo tum ????
ya puja ke nam per
nikal ker hatyar apne ,
baha do nadiya khun ki ,
Nirdosh manvi khun ,
jis ki garmi me ,
piglte hai manvi riste ?
Kitna kamjor hai ,
vishwas yah tumara !
Shamha karo mujhe ,
mujhe kabul hai ,
ghor nastikta apni ,
jo kam se kam ,
manav se manav ki ,
ghirna to nahi sikhati .

No comments:

Post a Comment

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...