Monday 7 January 2013

Raat Se Din Aur Din Se Raat Nahi Karte Hain




Raat Se Din Aur Din Se Raat Nahi Karte Hain
 Aate Rehte Hain Khayalon Main Har Pal
 Par Asliyat Main Mulakaat Nahi Karte Hain
 Kahan Hain, Kaise Hain Aur Kis Haal Main Hain Hum
 Bereham Koi Sawalaat Nahi Karte Hain
 Ashkon Main Doob Gayi Hain Palkein Aur Phir Zindigi Bhi
 Band Barasna Yeh Ashq-E-Jazbaat Nahi Karte Hain
 Bhool Gaye Hain HUM “muskaana”, Aur, Koshish Bhi .. Di Hai Ab To
 Kia Karein Manzoor Yeh Haalaat Nahi Karte Hain
 Aik Dam Aa Jaayein Who Saam Ne Aur Lag Jaayein Seene Se
 Pyaar Karte Hain Hum Un Se Sacha Koi Bataye Unhein Uff
 Koi Kasoor Hum Aji, Hazooraat Nahi Karte Hain
 Khafa Kyun Hain? Yeh Pata Ho To Mana Lein Un Ko
 Par Woh To Koi Bhi Ishaaraat Nahi Karte Hain
 “AnMoL” Ki Patti Pe Jo Shabnam Hai Sookh Na Jaaye
 Kisi Ki Zindigi Yun Hi Barbaad Nahi Karte Hain

No comments:

Post a Comment

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...