Friday 25 January 2013

is desh me dahej ki bimari chali



Leker aankho me aansu ik kanya kumara chali,
Dosto is desh me dahej ki bimari chali,
Layti janam kanya jab garib ke gher per,
Sochta hu bayj du m ise pray der per,
Kayse rakhu m paraya bojh m apne sar per,
Sun ker sabd pita ji ke vo roti kuvari chali !!
Dosto is desh…………………………..
Var ke ley pita to kya bandhu bhi chaker lagate hai ,
Gao der gao saher der saher sunte sunate jate hai ,
Sun ker sabd larke walo ke mn hi mn lajate hai ,
Mn ko sikore chal dey jab boli vo karari chali !!
Dosto is desh me …………………………………
Pita ji majbur ho ker sahukar ke pass jate hai ,
Na-na sun majbur ho jholi tak falate hai ,
Laga ker toker jholi ko “CHALO YAHA Se” kahte hai ,
Dekh ker hal pita ji ka vo kismet ki mari chali !!
Dosto is desh me ………………………………..
Samgh ker lalch lala ji ka un ke gher ko jate hai ,
Byaj laga ker muldhan per kai hajar batate hai ,
Samgh ker bojh pita ji , Kya mujh ko byahna chate ho
Kah ker itna Mirtu Lock ko vo Be-kasur kuvari chali !!
Dosto is desh …………………………………………………………

No comments:

Post a Comment

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...