Tuesday, 25 December 2012

Sharminda Hun ……



Mein brahamand ki sarv sundri rachna
Bari goravanivit  thi ,
Shristhi  mein mamta ka astive  rachker ,
Satyug mein sati , dwapar  mein radha ,
Tretha mein sita , kalyug mein kalpna ban ker ,
Maa , behan , beti , priyaci  , patni ke rup mein ,
Etrati thi risto ko paripurnta de ker ,
Beshak her yug mein , kabhi na kabhi ,
Kahi na kahi hua mera tiriskar ,
Khoya samman aur dena  pada balidan ,
Fir bhi apni sehansilta aur
Vajud ko leker
Abhimanit thi nari ban ker
Lakin , aaj mein sharminda hu apne hone ko leker ,
Lut jo rahi hu ,
Gher , gali se le ker sadak per ,
Kabhi fanki jati hu kure ke dher per ,
Anchahi santan banker ,
Kabhi roti hu sarerah hawas ka shikar ho ker ,
Janamdata , bhai , ristedar bhi nahi bakhshtein hai ,
Asmat tar-tar ker dete hai dav pa ker ,
Nahi raha atber ab apne vajud per bhi ,
Khud ke hatho mein mit rahi hu ,
Kokh mein hi katal ho ker ,
Basool-gareon  mein mere balatker ke khaber ,
Sharminda karti hai roj surkhiyan ban ker ,
Mere vachersav ke ley ,
Larne ka dikhava karta hai pangu samaz ,
 Jhooti vah vahi lut rahe nayta ,
Sadan mein mere soshan ka muda uchalker ,
Kaha chipaun , kayse bachaun apne aap ko ,
Nahi surakshit mein padh likh ker ,
Aadhunik ban ker .

No comments:

Post a Comment

👌: प्यार का आगाज :👌

 हर गजल का प्यार से आगाज़ होना चाहिए,  शेर कहने का यही अंदाज होना चाहिए।  दोस्तों की दोस्ती पर नाज होना चाहिए,  दुश्मनों से प्यार का आगाज हो...