Tuesday 30 September 2014

kuch aysa sila de do bhagwan

Mugh ko kuch aysa sila de do bhagwan ,
Muge mere mhuhobat  se mila do ,
Muhabat ke safar me ab hum milte nahi ,
Kabhi use bhi mayri derkno ki yad to dila do ,
Her suni rat ko kyo who jagata hai ,
Mayri  jahan me us ki yad ko thora to sula do ,
In aakho se ashq to kabhi rukte hi nahi ,
Tum kabhi thora sa use bhi rula do .
Apni her shayari likhta hu bas usi ke nam se ,
Kabhi mayri gazal ka ik jam use bhi pila do ,
Tarfta hu dard se me us ke ishq me is kader  ,
Kabhi us ke dil me bhi mere ishq ka ik phool khila do .
Dur kyo rahta hai mugh se who yu besabab ,
Kabhi use bhi mere pass to bula do ,
Sulgta hai “ANMOL” us ke ishq ki aag mein ,
Zara thori si aag us ke dil mein bhi laga do .

Monday 29 September 2014

tumari hansi ka pata chel jata hai




Her din hame tumari hansi ka pata chel jata hai
Tumari hansi mere dil ko her khusi bher dayti hai
Tumari hansi ko khuda salamat rakhe
Kyo ki tumari her khushi muje jindgi dayti hai

Wednesday 10 September 2014

Lamhe mayri mout ke talne lage hai




Umer bher jis pyaar se hum darte reahe
Ho gaya kya pyaar khud karne lage hai hum ,
Ishu koi unbujhi  se hai pahli ,
Jab hua sawan me tn jalne lage hai .
Waqt ke andaj badle yun samjh lo ,
Husan aate pallu bhi dhalne lage hai ,
Aap ke shane per ser rakhte kasam se ,
Lamhe mayri mout ke talne lage hai.

Thursday 4 September 2014

dusru ko hasane ki khatir


Hum to apne dil se haste he dusru ko hasane ki khatir
Warna hamare is dil mein zakham itne hai k roya b nahi jata

मांग अपनी मनाता रहा

                                       मधुर गमों से घिर कर भी आप का ख्याल आता रहा                                           था तुम जैसा कोई ...